SHIRDI LIVE DARSHAN

Sunday 17 June 2012

மகா லக்ஷ்மி சாலிசா .MP3











II Maha Lakshmi Chalisa  II
II DOHA II
Maatu Lakshmi Kari Kripaa, Karahu Hriday Mein Vaas I
Manokamana Siddh Kari, Puravahu Meri Aas I I

Sindhusuta Main Sumiron Tohi, Gyaan Buddhi Vidhya Dehu Mohi II
Tum Samaan Nahin Kou Upakaari, Sab Vidhi Puravahu Aas Hamaari II
Jai Jai Jagat Janani Jagadambaa, Sab Ki Tumahi Ho Avalambaa II
Tumahii Ho Ghat Ghat Ki Waasi, Binti Yahi Hamarii Khaasi II
Jag Janani Jai Sindhu Kumaari, Deenan Ki Tum Ho Hitakaari II
Vinavon Nitya Tumhi Maharani, Kripa Karo Jag Janani Bhavaani II
Kehi Vidhi Stuti Karon Tihaarii, Sudhi Lijain Aparaadh Bisari II
Kriapadrishti Chita woh Mam Orii, Jagat Janani Vinatii Sun Mori II
Gyaan Buddhi Jai Sukh Ki Daata, Sankat Harahu Hamaare Maata II
Kshir Sindhu Jab Vishnumathaayo, Chaudah Ratn Sindhu Mein Paayo II
Chaudah Ratn Mein Tum Sukhraasi, Seva Kiyo Prabhu Banin Daasi II
Jab Jab Janam Jahaan Prabhu Linhaa, Roop Badal Tahan Seva Kinhaa II
Swayam Vishnu Jab Nar Tanu Dhaara, Linheu Awadhapuri Avataara II
Tab Tum Prakat Janakapur Manhin, Seva Kiyo Hriday Pulakaahi II
Apanaya Tohi Antarayaami, Vishva Vidit Tribhuvan Ki Swaami II
Tum Sam Prabal Shakti Nahi Aani, Kahan Tak Mahimaa Kahaun Bakhaani II
Mann Karam Bachan Karai Sevakaai, Mann Eechhit Phal Paai II
Taji Chhal Kapat Aur Chaturaai, Pujahi Vividh Viddhi Mann Laai II
Aur Haal Main Kahahun Bujhaai, Jo Yah Paath Karai Mann Laai II
Taako Koi Kasht Na Hoi, Mann Eechhit Phal Paavay Soii II
Traahi- Traahii Jai Duhkh Nivaarini, Trividh Tap Bhav Bandhan Haarini II
Jo Yeh Parhen Aur Parhaavay, Dhyan Laga Kar Sunay Sunavay II
Taakon Kou Rog Na Sataavay, Putr Aadi Dhan Sampati Paavay II
Putraheen Dhan Sampati Heena, Andh Badhir Korhhi Ati Diinaa II
Vipr Bulaay Ken Paath Karaavay, Shaankaa Dil Mein Kabhi Na Laavay II
Path Karaavay Din Chalisa, Taapar Krapaa Karahin Gaurisaa II
Sukh Sampatti Bahut-Si Paavay, Kami Nanhin Kaahuu Ki Aavay II
Baarah Maash Karen Jo Puja, Tehi Sam Dhanya Aur Nahin Dujaa II
Pratidin Paath Karehi Man Manhi, Un sam koi Jag Mein Naahin II
Bahuvidhi Kaya Mein Karahun Baraai, Ley Parikshaa Dhyaan Lagaai II
Kari Vishvaas Karay Vrat Naima, Hoi Siddh Upajay Ur Prema II
Jai Jai Jai Lakshmi Bhavani, Sab Mein Vyaapit Ho Gun khaani II
Tumhro Tej Prabal Jag Maahin, Tum Sam Kou Dayaalu Kahun Naahin II
Mohi Anaath Ki Sudhi Ab Lijay, Sannkat Kaati Bhakti Bar Deejay II
Bhool chook Karu Shamaa Hamaari, Darshan Deejay Dasha Nihaari II
Bin Darshan Vyaakul Adhikari, Tumhin Akshat Dukh Shatte Bhaari II
Nahin Mohi Gyaan Buddhi Hai Tan Mein, Sab Jaanat Ho Apane Mann Mein II
Roop Chaturbhuj Karke Dhaaran, Kasht Mor Ab Karahu Nivaaran II
Kehi Prakaar Mein Karahun Badai, Gyaan Buddhi Mohin Nahin Adhikaai II

 
II DOHA II
Traahi Traahi Dukh Haarini, Harahu Vegi Sab Traas I
Jayati Jayati Jai Lakshmi, Karahu Shatru Ka Naas II

No comments:

Post a Comment